Tuesday, February 2, 2010

rajesh khanna special.

ye kyaa huaa, kaise huaa, kab huaa
kyo huaa, jab huaa, tab huaa
chhodo, ye naa socho

hum kyo, shikawaa kare zoothhaa
kyaa huaa jo dil tootaa
sheeshe kaa khilaunaa thaa
kuchh naa kuchh to honaa thaa, huaa

humane jo dekhaa thaa, sunaa thaa
kyaa bataaye wo kyaa thaa
sapanaa salonaa thaa
khatam to honaa thaa, huaa

aye dil chal peekar zoome
inhee galiyon mein ghoome
yahaa tuze khonaa thaa
badanaam honaa thaa, huaa

------------------------------
------------------------------
ye shaam mastaanee, madahosh kiye jaaye
muze dor koee khinche, teree or liye jaaye

door rahatee hain too, mere paas aatee nahee
hothhon pe tere, kabhee pyaas aatee nahee
ayesaa lage jaisai ke too, has ke jahar koee piye jaaye

baat jab main karu, muze rok letee hain kyon
teree mithhee najar, muze tok detee hain kyo
teree hayaa, teree sharam teree kasam mere hothh siye jaaye

yek ruthhee huyee, takadeer jaise koee
khaamosh ayese hain too, tasaweer jaise koee
teree najar, ban ke jubaan lekin tere paigaam diye jaaye
---------------------------
---------------------------
Mere Samne Wali song lyrics

Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon meiN



Vo chanchal mukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

(Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye) -2
Par uski ek jhalak ko ham
Ai husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

-----------------------------
-----------------------------

No comments: